Saturday, 21 May 2016

Saanjh ki wo guftgu..

Chandni ki hai guzarish chand se..
Saath hoke bhi duur kyun ho itne..
Kya duniya hi hai sab tumhare liye. .
Chahne mana bahot hain tumhare..
Par Humari chahat ke toh hote hain tumpe hi khatam kinare..

Muskura kar chand iss baat pe bola..
Iss nacheez ki har khwahish jo sapna hai..
Wo kaise samjh raha na khud ko apna hai..
Ek baar dekh liya hota aankhon mein meri..
Tu kinara nahi ..
Tu hi sagar hai....