Wednesday, 26 June 2013

Me in a Live-in...

My doors are closed for everyone,
The board of NO ENTRY is back to its place,
No one can enter,
No one can peep in,
Me and my solitary are in a live-in....

Saturday, 22 June 2013

Kuch Aur Duur...

Dhundhla sa jab jab dikhne laga toh palkon ki yaad ayi,
Pta chala ki mujhse hai ek boond zara milne ayi,
Poocha usse aane ka raaz toh boli aankhon ne ab bure palon ka ab saaya nikal phenka hai,
Karwat le li hai mausam ne,
Kismat ne ki hai meherbani,
Reh gaya hai safar bas kuch aur kadam ka,
Ab der na kartu bhi nikal phenk ye bojh mann ka....

Thursday, 20 June 2013

Armaano ki Fusfusahat Part 2

Dil toh karta hai inn ki baaton ko sunne ka,
Inka kaha maan kar kuch aur naye sapne bunne ka,
Par aa gayi yaad unn dino ki,
Jab aise armaano ka peecha karte hue daudi thi karne tayaari apne jeevan ki sabse jaruri udaan ki....

Uska mukaam soch kar main fir kaamp uthi,
Khud ko ek baar fir kuch aur akela paa kar andar se kuch aur tooti....

Kehte hain yeh mujhko,
Sunle oh rani,
Sochle jis taraf mudi hai woh hai anant akaash ya fir daldal ka paani,
Maine kaha ki meri nazar toh ab kamzor ho chuki hai,
Nahi samajh paa rahi hai daldal aur neel gagan mein antar,
Toh bole tu jhaank ke dekh apne dil ke andar....

Kaha maine ki mere dil ko ab dhadkane ke sivaay aur kuch aata kahan hai,
Jo bhi atrangi kaar naame woh karta tha use main chod ayi kahin peeche,
Naa jane ab woh kahan hai....

Woh bole ki samasya hai behad gambhir karna hoga bahot soch vichaar,
Maine kaha ki jaldi karo ab,
Main nahi sambhal paungi jyaada der tak aur ye bhaar.... 

Wednesday, 19 June 2013

Armaano Ki Fusfusahat Part 1

Aaj subah uthi toh jagne ka mann kiya,
Armaano ki fusfusahat ko dhyaan se sunne ka dil  kiya,
Kehte toh bahot kuch the ye mujhko,
Par fursat kahan thi abhi tak sunne ki,
Kyunki hans rahi thi ab tak main leke aankhon mein namkeen paani unn haseen sitamon par jo zindagi ne the kiye....


Dost ki dosti dekh li thi,
 Dekh liya tha apno ka mujh par vishwaas,
Iss liye mann mein ab baaki rahi nahi thi koi aas....


Par inn armaano ko ab kaun samjhaye,
Pad gaye hain ye toh mere peeche,
Kehte hain khulke jeele zara apni yeh choti si zindagi dekh na ab aur peeche....




Ye Belagaam Mann..

Kya sach mein woh hun jo karne ja rahi hun,
Kya sach mein woh ban paungi jo banane ja rahi hun,
Kya hoga ant iss manzil ka jiski raah pe chal padi hun,
Kya honge sapne fir ek baar choor ya fir lagaungi naye pankhon se ke nayi Udaan....


Main udna chahti hun,
Main firna chahti hun,
Apne dil ke, apne mann ke gali kasbo maholon mein ghoomna chahti hun,
Shuru karna chahti hu safar khudki ek nayi zindagi ka,
Jisme jeena ho mujhe bas khud ke liye,
Naa ho kisike sapno ki fikar aur naahi unki umeedon ka bojh....


Firti rahun awaara badal ki tarah,
Chalun apni ek mast chaal mein,
Jisme naa ho fikaran na jamane ka darr....


Ungaliyaan utheingi mujh par main jaanti hun,
Par khudko samajhne ki chaah mein do kadam badhana chahti hun,
Kya shrot hai inn bhavnaon ka,
Mann ke inn vyarth sawalon ka,
Kya hai inn mein kuch tathya,
Ya hain ye sirf mujh mand buddhi ke dimaag ki ye ek aur kuch nayi par bekar upaj....