Dil toh karta hai inn ki baaton ko sunne ka,
Inka kaha maan kar kuch aur naye sapne bunne ka,
Par aa gayi yaad unn dino ki,
Jab aise armaano ka peecha karte hue daudi thi karne tayaari apne jeevan ki sabse jaruri udaan ki....
Uska mukaam soch kar main fir kaamp uthi,
Khud ko ek baar fir kuch aur akela paa kar andar se kuch aur tooti....
Kehte hain yeh mujhko,
Sunle oh rani,
Sochle jis taraf mudi hai woh hai anant akaash ya fir daldal ka paani,
Maine kaha ki meri nazar toh ab kamzor ho chuki hai,
Nahi samajh paa rahi hai daldal aur neel gagan mein antar,
Toh bole tu jhaank ke dekh apne dil ke andar....
Kaha maine ki mere dil ko ab dhadkane ke sivaay aur kuch aata kahan hai,
Jo bhi atrangi kaar naame woh karta tha use main chod ayi kahin peeche,
Naa jane ab woh kahan hai....
Woh bole ki samasya hai behad gambhir karna hoga bahot soch vichaar,
Maine kaha ki jaldi karo ab,
Main nahi sambhal paungi jyaada der tak aur ye bhaar....
No comments:
Post a Comment