Wednesday, 19 June 2013

Ye Belagaam Mann..

Kya sach mein woh hun jo karne ja rahi hun,
Kya sach mein woh ban paungi jo banane ja rahi hun,
Kya hoga ant iss manzil ka jiski raah pe chal padi hun,
Kya honge sapne fir ek baar choor ya fir lagaungi naye pankhon se ke nayi Udaan....


Main udna chahti hun,
Main firna chahti hun,
Apne dil ke, apne mann ke gali kasbo maholon mein ghoomna chahti hun,
Shuru karna chahti hu safar khudki ek nayi zindagi ka,
Jisme jeena ho mujhe bas khud ke liye,
Naa ho kisike sapno ki fikar aur naahi unki umeedon ka bojh....


Firti rahun awaara badal ki tarah,
Chalun apni ek mast chaal mein,
Jisme naa ho fikaran na jamane ka darr....


Ungaliyaan utheingi mujh par main jaanti hun,
Par khudko samajhne ki chaah mein do kadam badhana chahti hun,
Kya shrot hai inn bhavnaon ka,
Mann ke inn vyarth sawalon ka,
Kya hai inn mein kuch tathya,
Ya hain ye sirf mujh mand buddhi ke dimaag ki ye ek aur kuch nayi par bekar upaj....




No comments:

Post a Comment