Bitiya naa ho humaare aangan..
Yeh rehti thi dua sabki..
Par iss dua ne uss upparwale ki khushi duguni kardi..
Beti maangne uske dwaare ek bhakt tha aya..
Uski ichha par usne amal kiya..
Ek nanhi gudiya ki kilkariyon se unka aangan bhar diya..
Ek sachha humsafar kya hota hai..
Aayna hain wo uska..
Tapasya aur lagan ki moorat hain wo..
Kabhi na harne wale jazbe ki mukaam hain wo..
Beti ko aashirwaad dete hi nahi..
Usse lete bhi hain woh..
Aise hi..
Zamane se hatke..
Koi aur nahi..
Humare papa hain wo..
Unki parchai toh hum ban nahi sakte..
Uska ek kand hi agar hum bann jayein..
Toh jeevan ki har mushkil ladai ko hum hanske jeet jayein..
Sunday, 15 June 2014
HAPPY FATHER'S DAY PAPA!! <3
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment