Wednesday, 3 July 2013

Kuch Ankahee Si Baat..

Unhone kuch kaha nahi,
Par jaan main sab gai,
Bina kuch soche liya soch sab kuch,
Na padha manzil ka pata,
Na socha ki kaisa hoga rasta,
Unke adhoore sapno ki khatir,
Likh diya nazarana apne kal ka....

Ek pal ruki nahi,
Na khud ko thaam kar ek baar socha,
Na koshish ki yeh janane ki,
Yeh rasta kahan le jayega pahuncha....

Faisla yeh galat tha ya sahi,
Yeh toh waqt hi btayega,
Dekhte hain ab yeh nausikhiya pan
zindagi ki kitni kahaaniyan aur kisse tofe mein de jayega....

No comments:

Post a Comment